Social Icons

Tuesday, March 26, 2013

Dil-e-Nadaa’n Ki Koi Baat Na Maani Jaaye

Sab Khasaaro’n ko Jama Kar Kay Ye Haasil Niklaa,
Dil-e-Nadaa’n Ki Koi Baat na Maani Jaaye……!!

Shair logon ke bohat yaad hain auron ke liye..

Shair logon ke bohat yaad hain auron ke liye,
Tu milay to main tujhe shair sunaaon apne..

Mujhe yeh dar hai teri aarzuu na mitt jaye..

Mujhe yeh dar hai teri aarzuu na mitt jaye,
Bohat dinon se tabiyat meri udaas nahin..

Jab taqaaza neend ka ho aur tanhaai na ho..

Jab taqaaza neend ka ho aur tanhaai na ho,
Uff woh kefiyat ke ho bhi aur angrrayi na ho..

Mujhay tumhara hi khayaal hai..

Na karo takraar, mujhay tumhara hi khayaal hai,
Phir baat se baat niklay gi, aur tum rooth jaoge..

Ghar se nikal kharrey huye..

Ghar se nikal kharrey huye phir puchna hi kya,
Manzil kahan se paas parre gi kahan se door..

Kuch to de bheek us ko aye zaalim..


Kuch to de bheek us ko aye zaalim,
Ban ke jo saayel tere ghar aaya..

Isi dhun main guzaarey ja raha hoon zindagi..

Isi dhun main guzaarey ja raha hoon zindagi apni,
Kabhi yeh zindagi ke marhley asaan to hon ge..

Hashar mein milne ka vaada to karo..

Hashar mein milne ka vaada to karo,
Hum abhi hashar barpaa kartey hain..

Saaf inkaar hai aaney ka bahana kesa..

Saaf inkaar hai aaney ka bahana kesa,
Rang laaye hain woh mehndi ka lagana kesa..