Social Icons

Friday, December 27, 2013

kabhi qasmain , kabhi uhday wafa ka hosla day kar.... humain wo zinda rehne kay bahanay bhej deta hia


Jamma Ponji yahi hia umer bhar ki.... meri tanhai or mera December


Ishrat-e-Qatra Hai Darya Mein Fanah Ho Jana Dard Ka Had Se Guzarna Hai Dawa Ho Jana

Ishrat-e-Qatra Hai Darya Mein Fanah Ho Jana
Dard Ka Had Se Guzarna Hai Dawa Ho Jana

sadiyon ka payar dard ki sorat mein dhal gya... Sadiyon ke baad dil ko koe aashna mila...

sadiyon ka payar dard ki sorat mein dhal gya...

Sadiyon ke baad dil ko koe aashna mila...

Zikr Us Pari-Vash Ka Aur Phir BayaN Apna Ban Gaya Raqib Aakhir Tha Jo RazdaN Apna

Zikr Us Pari-Vash Ka Aur Phir BayaN Apna
Ban Gaya Raqib Aakhir Tha Jo RazdaN Apna

Rahi Nah Taqat-e-Guftar Aur Agar Ho Bhi To Kis Ummid Pe Kahiye Keh Aarzu Kya Hai

Rahi Nah Taqat-e-Guftar Aur Agar Ho Bhi
To Kis Ummid Pe Kahiye Keh Aarzu Kya Hai

December

Bas ik meri bat nhi thi""
Sab ka dard tha December...!

Barf k shehar me rene wala
ik ik fard December tha....!

Pichly saal k akhir me bhi
Hairat me ham tenu thy;
ik ma tha' ik meri tanhai thi"
ik bedard December tha.

Apni apni himmat thi

Or apniapni Qismat thi.!!
hath kisi k nely thy
Or peela zard December tha...

Pholon pr tha sakta tari"
Khushbu sehmi sehmi thi"
Khof zada tha gulshan sara"
Dehshat gard December tha.

Tere Waade Par Jeye Hum, To Ye Jaan Jhoot Jana K Khushi Say Mar Na Jaate, Agar Aitbaar Hota...

Tere Waade Par Jeye Hum, To Ye Jaan Jhoot Jana
K Khushi Say Mar Na Jaate, Agar Aitbaar Hota...

Rab se aap ki khushi maangte hain

Rab se aap ki khushi maangte hain,
duaon mein aapki hasi maangte hain,
sochte hai aapse kya maange,
chalo aap se umar bhar ki mohabbat maangte hain…

Har aik ki qismat main nai likhi hotii chahatain galib


Har aik ki qismat main nai likhi hotii chahatain galib
kch log duniya main ate hian faqat tanhaion k liye

Ghazal

Ksi K Milne Se Qismat Nah Badalti
Hota Wohi Hy Jo br'haq Hy.
Agr Tm Ksi Ko Chaho Or Usy Pa Na Sako
To Qismat Ko Gali Mat Do
Kyun K Hoga Wohi Jo br'haq Hy
Agar Kch Pa K Tm KhoDo
To Heran Mat Ho
Jb Pa Liya To Khona To br'haq Hy.
Har Pal Hansna To Sb Chahty He
Jb Hans Lia To Rona To br'haq Hy
Sb Ko ApNi Zndgi "ApNi Marzi Se Jeene Ka Haq Hy.
Jb Marzi Se Jee Liya To Marna To br'haq Hy.. !!!

Dekh kar Tanha Mujhse pocha Baharon ne


Dekh kar Tanha Mujhse pocha Baharon ne,
Kaha gaya tera wo Hamsafar?
Tujhe to Bara Naaz tha us par.
Ye Dekh kar Mai Chup Rahe
Magar!
Mere Ansoaon ne Jawab dia,
Milna Qismat me Bichrna Naseeb tha
Wo mujh se Itna Door Ho Gaya
Jitna Wo Mere Qareeb .. .

Ghazal

TeRy PehL0o Me R3h L0oN Me khUd k0 PagAL kEh Lo0N.....
Tu GhAM Dy khUx!HyAN X3h Lo0N SaThiyA.....
k0! Nh3 TeR3 SiwA MeRA yAhAN......
MaNZiLEN hA!N MeR3 t0 XAb yAhAN.....
MitA Dy XAbh! AjA fAxLAy....
Me ChAh0oN Mjhy MjXy BaAtt LAy.....
ZaRA xA Mujh M3 jAhANkh LAy M3 h0oN kiyA.....!

Ghazal

Be'taab se rehty hain teri yaad me aksar

Shab bhar nahi sotey teri yaad me aksar

Be'dard zamaney ka bahana sa bana k

Hum toot k rotey hain teri yaad me aksar

Bhool jain tumhen ye to mumkin hi nahi

Hum khud ko bhool jate hain teri yaad me aksar..

Sunday, April 14, 2013

wo chhup kar bethe the,

wo chhup kar bethe the,
jab hume unki chah thi,
hume bhi usi waqt aani thi maut,
jis waqt unhe humari talash thi,

yaad teri hume itni aayi, ke teri yaado ke saaye me jine laga, dost to dost meri halat ko dekh, khud khuda bhi rone lagaaaa, plze come back in my life

yaad teri hume itni aayi,
ke teri yaado ke saaye me jine laga,
dost to dost meri halat ko dekh,
khud khuda bhi rone lagaaaa,
plze come back in my life
dost to dost meri halat ko dekh,
khud khuda bhi rone lagaaaa,
plze come back in my life

Na chedo hame hum sataye huwe hain,

“ Na chedo hame hum sataye huwe hain,
muddatoin se unko bhulaye huwe hai,
musibat mein nahi deta koi saat kisi ka,
hum is zamane ko aajmaye huwe hai”

Sunday, April 7, 2013

Zulf e siyah ko paon ki zanjeer kar chuka,

Zulf e siyah ko paon ki zanjeer kar chuka,

Qatil hamare qatal ki tadbeer kar chuka,

Marzi hai jo sulook rawa us se tum rakho,

Jo shakhs apni'
Apko taqdeer kar chuka,

Milna tujhe naseeb mai shayad nai mere,

Mai to her eak surat e tadbeer kar chuka....!

ZULM

Zulm Saray Hi Rawa Rakh Na Judai De Mujhe,
Pyar Bas Apna Luta De Na Khudai De Mujhe,

Mein Is Dukh Mein Aur Gi Nhi Sakti ,
Maaf Kar Mujh Ko Meri Jaan Rehai De Mujhe,

Janti Houn Tere Dil Mein Meri Dara Nhi Hai,
Bhane Bana K Har Giz Na Safai De Mujhe,

Jane Kis Morr Pe Aa Pounche Hein Hum,
Jis Taraf Deikhoun Faqat Tu Hi Dikhai De Mujhe ,

Mujh Se Tu Door Bohat Door Jachuka Hai Magar,
Teri Maanoos Sada Ab Bhi Sunai De Mujhe,

Mein Ik Moom K Putle Se Hoi Houn Pathar ,

Tuesday, March 26, 2013

Dil-e-Nadaa’n Ki Koi Baat Na Maani Jaaye

Sab Khasaaro’n ko Jama Kar Kay Ye Haasil Niklaa,
Dil-e-Nadaa’n Ki Koi Baat na Maani Jaaye……!!

Shair logon ke bohat yaad hain auron ke liye..

Shair logon ke bohat yaad hain auron ke liye,
Tu milay to main tujhe shair sunaaon apne..

Mujhe yeh dar hai teri aarzuu na mitt jaye..

Mujhe yeh dar hai teri aarzuu na mitt jaye,
Bohat dinon se tabiyat meri udaas nahin..

Jab taqaaza neend ka ho aur tanhaai na ho..

Jab taqaaza neend ka ho aur tanhaai na ho,
Uff woh kefiyat ke ho bhi aur angrrayi na ho..

Mujhay tumhara hi khayaal hai..

Na karo takraar, mujhay tumhara hi khayaal hai,
Phir baat se baat niklay gi, aur tum rooth jaoge..

Ghar se nikal kharrey huye..

Ghar se nikal kharrey huye phir puchna hi kya,
Manzil kahan se paas parre gi kahan se door..

Kuch to de bheek us ko aye zaalim..


Kuch to de bheek us ko aye zaalim,
Ban ke jo saayel tere ghar aaya..

Isi dhun main guzaarey ja raha hoon zindagi..

Isi dhun main guzaarey ja raha hoon zindagi apni,
Kabhi yeh zindagi ke marhley asaan to hon ge..

Hashar mein milne ka vaada to karo..

Hashar mein milne ka vaada to karo,
Hum abhi hashar barpaa kartey hain..

Saaf inkaar hai aaney ka bahana kesa..

Saaf inkaar hai aaney ka bahana kesa,
Rang laaye hain woh mehndi ka lagana kesa..

Itni guzarish hai ek muhabbat main mere maula..

Bas itni guzarish hai ek muhabbat main mere maula,
Mujhe nakaam honey sey zara pehley uthaa lena….

Ghum e arzo teri rah me, shab e arzo teri chah me..

Ghum e arzo teri rah me, shab e arzo teri chah me,
Jo ujar gya wo basa nahi, jo bichar gya wo mila nahi…

Bohat se raaz chupey hain teri ankhon mein..

Bohat se raaz chupey hain teri ankhon mein,
Nazar milaaon aur mujhe ko raaz’dan kar lo..

Bari hoti hai mayoosi , Bari hoti hai mayoosi


Bari hoti hai mayoosi , Bari hoti hai mayoosi,
Bana kar hum nay naqash aarzoo aksar mita daala..

Bikhri ek baar to haath aye hai kab mooj-e-shameem


Bikhri ek baar to haath aye hai kab mooj-e-shameem,
Dil sa nikli hai tou kab lab-e-faghaan thahri hai ..

Sunday, March 17, 2013

Dekhte Hain Aaj Hum Us Raah Ki Weeraaniyan

Dekhte Hain Aaj Hum Us Raah Ki Weeraaniyan
Yaaron Ke Sang Kaati Jahan Hum Ne Zindaganiyan
Guzar Gaya Wo Daur, Bichar Gaye Sab Dost
Sath Reh Gaen To Un Lamhon Ki Kahaniyaan..

Bekhabar Tujhe Kiya Khabar,

Bekhabar Tujhe Kiya Khabar,
Teri Aankhon Mai Kesa Jamal Hai
Tujhe Dekh Le Jo Bas Ik Nazar,
Us Ki Aankhon Mai Phir Yeh Sawal Hai..

Bari mudat sey chaha hey tumhain

Bari mudat sey chaha hey tumhain
Bari duaoon sey paya hai tumhain…
Tumhain bhulaaney ka socho b kasey
Kismat ki lakiron se churaya hai tumhain…!!

Barf Ke Rup Men Dhal

Barf Ke Rup Men Dhal Jayege Ristey
Mujse Pucho Mohabbat Ki Agan Kaisi Hai!

Aksar jab hum aapko yaad karte hai

Aksar jab hum aapko yaad karte hai
apne rab se yahi fariyaad karte hai
umar hamari bhi lag jaye aapko
kyoki hum aap ko khud se zyada pyar karte hai…

Aao Kisi Shab Mujhe Toot Ke

Aao Kisi Shab Mujhe Toot Ke Bikharta Dekho
Meri Ragon Mai Zehr Judaai Ka Utarta Dekho
Kis Kis Adaa Se Tujhe Maanga Hai Khuda Se
Aao Kabhi Mujhe Sajdon Mai Sisakta Dekho..

Aankho me arman diya karate hai

Aankho me arman diya karate hai,
Ham sabki Neend Chura liya karate hai,
Ab jab jab aapki palke jukengi,
Samaj lena ham aapko yaad kiya karate hai.

Friday, February 1, 2013

Rang tha roshni thi, qayamat tha


Rang tha roshni thi, qayamat tha,
Jis pe hum mar mittey qayamat tha,
Khush jamalon mein dhoom thi apni,
Naam us ka bhi wajah-e-shohrat tha,
Khawab tameer ban kar atey they,
Kya ajab mausam rafaqat tha,
Aik aik saans qurbton ka gawaah,
Har nafss lamhaa-e-ghaneemat tha,
Aur phir yun hua ke toot geya,
Woh jo ik rishta-e-mohabbat tha..

Yeh aur baat teri gali main na ayen hum


Yeh aur baat teri gali main na ayen hum,
Lekin yeh kya ke tera sheher chorr jayen hum,
Muddat huyi hai kuye bataan ki taraf gaye,
Awaargi se dil ko kahan tak bachaayen hum,
Be’noor ho chuki hai bohat sheher ki fizaa,
Tareek raston par kahin kho na jayen hum,
Us ke baghair aaj bohat jee udaas hai,
Jaalib chalo kahin se usey dhoond ke layen hum..

Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye


Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye,
Tujhe bewafa kahoon mein, woh maqaam aa na jaye,
Jisey sun ke toot jaye mera aarzu bhara dil,
Teri anjuman se mujh ko woh peyaam aa na jaye,
Woh jo manzilon per laa kar kisi hamsafar ko lootain,
Unhi rehzanon mein tera kahin naam aa na jaye,
Isi fikr mein hain ghalat yeh nizaam ke bandey,
Jo tamaam zindagi hai woh nizaam aa na jaye..

Rahe ga ishq tera khaak mein mila ke mujhe

Rahe ga ishq tera khaak mein mila ke mujhe,
Ke ibtidaa mein huye ranj intihaa ke mujhe,
Diye hain hijar mein dukh dard kis balaa ke mujhe,
Shab-e-firaaq ne maara litaa litaa ke mujhe,
Baghair maut ke kis tarah koi marta hai,
Mera raqeeb bhi roya galey laga ke mujhe,
Har ik shakhss ko haasil judaa hai kefiyat,
Jafaa ke lutf tujhe hain, mazey wafaa ke,
Ghazab ki aah meri, Daagh naam hai mera,
Tamaam sheher jalaao ge kya jalaa ke mujhe..

Mohabbat ki duniya main mashoor kar doon

Mohabbat ki duniya main mashoor kar doon,
Mere saada dil tujh ko maghroor kar doon,
Tere dil ko milney ki khud aarzuu ho,
Tujhe is qadar gham se ranjoor kar doon,
Mujhe zindagi door rakhti hai tujh se,
Jo tu paas ho to usey door kar doon,
Mohabbat ke iqraar se sharam kab tak,
Kabhi saamna ho to majboor kar doon,
Yeh be’rangiyan kab tak, ay hussan rangeen,
Idhar aa tujhe ishq mein choor kar doon,
Tu agar samney ho to mein be’khudi mein,
Sitaaron ko sajdey pe majboor kar doon,
Nahin zindagi ko wafaa warna Akhtar,
Mohabbat se duniya ko mamoor kar doon..

Ajab hain raastay mere ke chalna bhi nahi mumkin


Ajab hain raastay mere ke chalna bhi nahi mumkin,
Zara thokar jo lag jaye sanbhalna bhi nahi mumkin,
Tera chehra meri nazron mein dhundla sa na ho jaye,
Ke ab bheegi hui aankhon ko malna bhi nahi mumkin,
Milay hain baad muddat k, balaa k sard hain lehje,
Ke jalna bhi nahi mumkin. pighalna bhi nahi mumkin,
Ta’alluq toot jaane se umeeden toot jaati hain,
Dilon mein hasraten le ker behalna bhi nahi mumkin,
Bohat nakaamian le ker hua hoon khaak ka qaidi,
Chalo ab aaj se ghar se nikalna bhi nahi mumkin,
Usse itna na socha ker. teri aadat na ban jaye,
Phir aisi aadaten Mohsin, badalna bhi nahi mumkin..

Safar khizaan ka, bahaar manzil


Safar khizaan ka, bahaar manzil,
Hai fasilon ki shikaat manzil,
Mujhe ussi ne yeh khauf bakhsha,
Ke jis ne di thi udhaar manzil,
Ilaahi kuch tu hi silaa de,
Nazar ki hadh se guzaar manzil,
Tu jeet jaye ga, jeet mujh ko,
Tere galey ka hai haar manzil,
Tujhe talab thi ke mein bhi ro’un,
Aa dekh zaar-o-qitaar manzil,
Hird ka ultaa moaamla tha,
Gulaab rahain, to khaar manzil,
Jalaa ke nikla jo apne ghar ko,
Dhuaan si rahain, ghubaar manzil,
Ke meri sansain ukharr rahi hain,
Abhi to mujh ko pukaar manzil,
Khabar mili hai woh laut aya,
Ab us ke sar par se waar manzil,
Main aasmanon ko khaujta hoon,
Sunaa tha unke hai paar manzil,
Azal-abad ki talaash mein hai,
Ujaal rahain, sanwaar manzil,
Taaj khud hi kuch susst tha warna,
Talab mein thi be’qaraar manzil..

Maayel e lutf, tabiyat kabhi aesi to na thi,


Maayel e lutf, tabiyat kabhi aesi to na thi,
Aap ko mujh se mohabbat kabhi aesi to na thi,
Aaj be’waqt kidar aap nikal aaye hain,
Aap ko meri zaroorat kabhi aesi to na thi,
Haal per mere tawajoh, meri har baat per jee,
Ab jo hai mujh pe inaayat kabhi aesi to na thi,
Ab to har waqt hi maathey per shikan rehti hai,
Aayina dekhiye, surat kabhi aesi to na thi,
Kuch to hai aap ke andaaz-e-sitam ka baayes,
Aaye din shikwa shikayat kabhi aesi to na thi,
Hijar mein aap ne ik umar guzaari hai Naseer,
Beqarari ki yeh haalat kabhi aesi to na thi..

Dekhoon ayina tu teray akss ka gumaan hota hai,


Dekhoon ayina tu teray akss ka gumaan hota hai,
Meri ankhoon main teray chehray ka samaan hota hai,
Youn teri khoj main sahra ka badal ban ke,
Meray kadmon ka safar pher say rawan hota hai,
Janay anjanay main likh doon jo kbhi tujh pay ghazal,
Mera her shair teray husan ka biyaan hota hai,
Teri palkoon pay jo jugnoo ki chamak main dekhoon,
Behti nadia main sitaroon ka jahaan hota hai,
Her aik shab khawaboon main jo tera rang dekhoon,
Meri her neend main teray dil ka makaan hota hai..

Betha ho es umeed par es rigzar par


Betha ho es umeed par es rigzar par
lay kabhi es taraf tuje khuda kabhi

Raat meri aankh main aik sailaab tha

Raat meri aankh main aik sailaab tha,
Tera chehra dakhina sa bhi tabiyat bhar gai.

Teri arzoo main humne Baharon ko dekha

Teri arzoo main humne Baharon ko dekha,
Teri justaju main humne Sitaron ko dekha,
Nahi mila tum se badhkar in nigahon ko koi,
Humne jiske liye hazaron ko dekha..

Jab taqaaza neend ka ho aur tanhaai na ho

Jab taqaaza neend ka ho aur tanhaai na ho,
Uff woh kefiyat ke ho bhi aur angrrayi na ho..

Na karo takraar, mujhay tumhara hi khayaal hai

Na karo takraar, mujhay tumhara hi khayaal hai,
Phir baat se baat niklay gi, aur tum rooth jaoge..

Ghar se nikal kharrey huye phir puchna hi kya,

Ghar se nikal kharrey huye phir puchna hi kya,
Manzil kahan se paas parre gi kahan se door..

Kuch to de bheek us ko aye zaalim

Kuch to de bheek us ko aye zaalim,
Ban ke jo saayel tere ghar aaya..

Isi dhun main guzaarey ja raha hoon zindagi apni

Isi dhun main guzaarey ja raha hoon zindagi apni,
Kabhi yeh zindagi ke marhley asaan to hon ge..

Hashar mein milne ka vaada to karo

Hashar mein milne ka vaada to karo,
Hum abhi hashar barpaa kartey hain..

Saaf inkaar hai aaney ka bahana kesa

Saaf inkaar hai aaney ka bahana kesa,
Rang laaye hain woh mehndi ka lagana kesa..

Tuesday, January 29, 2013

Dil Di Khed Na Khedi Sajna

Dil Di Khed Na Khedi Sajna
Harr Jana Tu Harr Jana
Pyar Vich Zindagi Labdi Nai
Marjana Tu Marjana
Dil Marjane Nu Ki Hoya Sajna
Kade Vi Nai Aaj Jina Roya Sajna
Dil Marjane Nu Ki Hoya Sajna

Ishq Hora Jehde Wal Paiyan Chattiya
Pyar Jehne Kita Oho Roya Sajna
Kade Vi Nai Aaj Jina Roya Sajna
Dil Marjane Nu Ki Hoya Sajna

Pyar Diyan Gallan Hun Chete Aundiyan
Sadran Vich Yaadan Nu Paroya Sajna
Kade Vi Nai Aaj Jina Roya Sajna
Dil Marjane Nu Ki Hoya Sajna

Traliyan De Naal Gaiyan Bhij Sadran
Pyar Wala Geet Jado Choya Sajna
Kade Vi Nai Aaj Jina Roya Sajna
Dil Marjane Nu Ki Hoya Sajna

Lekhan Utte Kesse Da Nai Zor Chalda
Pair-pair Utte Disse Toya Sajna
Kade Vi Nai Aaj Jina Roya Sajna
Dil Marjane Nu Ki Hoya Sajna

Sochan Te Khayalan Vich Din Langhde
Sukh Meri Zindagi Da Koya Sajna
Kade Vi Nai Aaj Jina Roya Sajna
Dil Marjane Nu Ki Hoya Sajna

Shikhar Duphere Bhari Shama Pay Gaiyan
Zulfan Vich Mukh Ja Lakoya Sajna
Kade Vi Nai Aaj Jina Roya Sajna
Dil Marjane Nu Ki Hoya Sajna

Aissi Bhi Kya Jaldi Pyare

Aissi Bhi Kya Jaldi Pyare
Aissi Bhi Kya Jaldi Pyare
Jaane Milenge Ya Na Milien Hum

Aissi Bhi Kya Jaldi Pyare
Jaane Milenge Ya Na Milien Hum
Aissi Bhi Kya Jaldi Pyare

Kaun Khahe Ga Phir Yeh Fasaana
Kaun Khahe Ga Phir Yeh Fasaana
Baith Bhi Jao Sun Lo Koi Dum

Aissi Bhi Kya Jaldi Pyare
Jaane Milenge Ya Na Milien Hum
Aissi Bhi Kya Jaldi Pyare

Husn-o-Ishq Juda Hote Hain
Jaane Kya Tufaan Uthay Ga

Husn-o-Ishq Juda Hote Hain
Jaane Kya Tufaan Uthay Ga

Husn Ki Aankhain Bhi Hain Purnam
Ishq Ki Ankhain Bhi Hain Purnam

Aissi Bhi Kya Jaldi Pyare
Jaane Milenge Ya Na Milien Hum
Aissi Bhi Kya Jaldi Pyare

Wasl Ki Sheerni Main Pinha
Hijr Ki Talkhi Bhi Hai Kam Kam

Wasl Ki Sheerni Main Pinha
Hijr Ki Talkhi Bhi Hai Kam Kam

Tum Se Milne Ki Bhi Khushi Hai
Tum Se Juda Bhi Hone Ka Gum

Aissi Bhi Kya Jaldi Pyare
Jaane Milenge Ya Na Milien Hum
Aissi Bhi Kya Jaldi Pyare

Meri Wafa To Naadani Thi
Tum Ne Magar Yeh Kya Thani Thi

Meri Wafa To Naadani Thi
Tum Ne Magar Yeh Kya Thani Thi

Kaash Na Karte Mujh Se Mohabbat
Kaash Na Hota Yeh Dil Ka Alam

Aissi Bhi Kya Jaldi Pyare
Jaane Milenge Ya Na Milien Hum
Aissi Bhi Kya Jaldi Pyare

ho jave je pyar te sona bhul janda

ho jave je pyar te sona bhul janda
keete hon iqrar te sona bhul janda

taare gin ne painde neendran aundiyan nai
vich udikan rehndiyan akhiyan sondiyan nai
akhiyan ho jaan char te sona bhul janda
keete hon iqrar te sona bhul janda
ho jave je pyar te sona bhul janda

rang brangiyan rutan changiyan lagdiyan nai
akhiyan janan ajy eshq di eg deyan nai
rus jave je yaar te sona bhul janda
ho jave je pyar te sona bhul janda

lekhan de vich likhiyan dooriyan dooriyan ne
ki dassan main pyar vich ki majbooriyan ne
pyar vich aave har te sona bhul janda
ho jave je pyar te sona bhul janda

sochan de vich din te ratan langdiyan ne
yaadan mud-mud bari dill nu dangdiyan ne
chid pay je taqrar te sona bhul janda
ho jave je pyar te sona bhul janda
keete hon iqrar te sona bhul janda

Teri Rah Main Rul Gayi Ve


Main Hasay Pul Gye Vey
Teri Raah Main Rul Gye Vey
Bin Sawan Ankhiyan Dey Hanjan Vich Dhul Gye Vey
Ki Karan Zamana Dushaman Hoya Mera Sara
Tere Bina Jaon Kahan Koi V Na Mera Sahara
Aaaaaa Aaaaaa Aaaaaa
Teri Yaadon Main Ro Diya
Ro Diya
Chaha Tha Pana Kho Diya
Kho Diya
Ankhon Main Tohi Ab Har Dam Hai Rehta
Dil Ki Galiyon Mein Tera Hi Ghum Hai Rehta
Bhooley Na Mujh Ko Tu
Khuwabo Main Bus Hai Tu
Mere Dil Ki Har Dharkan Main Hai Bus Tu Hi Tu
Main Hasay Pul Gye Vey
Teri Raah Main Rul Gye Vey
Bin Sawan Ankhiyan Dey Hanjan Vich Dhul Gye Vey
Ki Karan Zamana Dushaman Hoya Mera Sara
Tere Bina Jaon Kahan Koi V Na Mera Sahara
Mujh Ko Yeh Haq Nahi Hai Tujh Ko Galay Lagaon
Tere Dil Main Nahi Hoon Kaisey Chain Paon
Mehram Na Mila Koi Door Mera Hum Dum
Kismat Main Jo Likha Hai Kaisey Usey Mitaon
Sab Ne Qadam Qadam Pe Thoker Hi Mari
Chahat Ban Gye Hai Ab Sada Meri
Tujh Se Karoon Kia Shikwa
Tu Bhi Tu Jal Raha
Yunhi Sulag Rhi Hai Yeh Dastan Meri
Jab Bhi Raaton Mein Hoti Hai Khamooshi
Sunta Hoon Aksar Teri Hi Sarghosi
Bhoolney Na Mujh Ko Tu Khawabon Main Bus Hai Tu
Mere Dil Ki Har Dharkan Main Bus Tu Hi Tu
Main Hasay Pul Gye Vey
Teri Raah Main Rul Gye Vey
Bin Sawan Ankhiyan Dey Hanjan Vich Dhul Gye Vey
Ki Karan Zamana Dushaman Hoya Mera Sara
Tere Bina Jaon Kahan Koi V Na Mera Sahara
Chahat Ki Arzoo Ne Kia Kia Sitam Dekhaye
Jalti Hui Zameen Per Phirta Hon Ghum Uthaye
Manzil Ke Fasley Bhi Karta Hein Yun Tamasha
Ghatey Nahi Yeh Raste Jitney Qadam Uthaye
Main Tu Aarzo Ki Phoolon Ki
Kaantey Hi Maine Paye Gye Jahan Ki
Tum Tu Galay Laga Kar Soocha Manzil Thi
Tum Chor Aye Jaisey Dhool Karvan Ki
Jab Bhi Bajti Hai Hai Galiyon Mein Shehnai
Dasti Hai Mujh Ko Is Dil Ki Tanhai
Bhoolney Na Mujh Ko Tu Khawabo Main Bus Hai Tu
Mere Dil Ki Har Dharkan Main Bus Tu Hi Tu
Aaaaaa Aaaaaa Aaaaaa

Monday, January 28, 2013

Life main ek baat hameshan yaad rakhna

Life main ek baat hameshan yaad rakhna
Life main ek baat hameshan yaad rakhna
..
..
..
..
k
..
..
..
..
..
cream biscuit main cream hoti hai

lekin
..
..
..
..
..
..
tiger biscuit main tiger nahi hota...

Many times i have..

Many times i have..
.
disturbed U,
.
troubled U,
.
fooled U,
.
irritated U,
.
Today i just want to say 4 words......
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
kuch
bigaar
nahin
paogee??
●̮̮̃•̃)
/█\....♥

Aaj apni Muhabat ko naya morr diya us ne


Aaj apni Muhabat ko naya morr diya us ne,
Mere liye baalon ko khula chorr diya us ne!
Pehle hansta tha main muh khol k,
Ab to Aage wala hi daant torr diya us ne!
Us ne sargoshi ka kaha main betaab ho gaya,
Kaan paas kiya to marorr diya us ne!
Sardiyan aaeen to laya maaltay mehboob k liye,
Malta kha k chilka ankhon main nichor diya us ne!
Bewafai ki had b dikha di ik din us zalim ne,
Milne ghar gaya to pechay kutta chor diya usny..’

Dil hai sacha aur dimagh hai kacha


Peer BaBa Arz Kartay hain..
Dil hai sacha aur dimagh hai kacha,
Wah Wah
Dil ha sacha aur dimagh hai kacha..
Tere msgs nai aa rahey
Kya baat hai bacha???

Mobile Me Kuch songs Load Krwane Hein


Pathan : Mobile Me Kuch songs Load Krwane Hein…
Dukandar : Memory Card Hy?
Pathan : Shanaakhti Card hai Memory card to abhi nahi banwaya…

Tum Mujh Say Set Ho Jao...

Woh Bewafa Hy Tou Kia Hua…Mat Bura Kaho Usko,
Tum Mujh Say Set Ho Jao…Dafa Kro Usko..

Jo mere sawal ka jawab dega wo ghr ja skta hy


Teacher:
Jo mere sawal ka jawab dega wo ghr ja skta hy.,
Pathan ne foran apna bag khirki se bahir phenka.. :):)
Teacher:
Ye bag kis ne phenka hai..???
;>
,
Pathan:
Main ne ….. yahooo.. … Chutti :):)
Teacher shocked… :
<. .Pathan Rocked...:<.

When i want to fall in love


When i want to fall in love with my books….
My bed falls in love with me….
And I believe that love the one who loves you… :)

Veena Malik se masjid ka chanda manga


Aik pathan ne Veena Malik se masjid ka chanda manga.
Veena : ap log to kehte hen k mera paisa naapak hai?
Pathan : tumhary paison se hum BATHROOM banaey gy..;-)

Ye baat samajh me aayi nahi, Aur mummy ne samajhai nahi…


Ye baat samajh me aayi nahi,
Aur mummy ne samajhai nahi.
Mai kaise mithi baat karu?
Jab mithi chiz koi khai nhi.
Ye chand kaise maamu hai?
Jab mumy ka wo bhai nahi.
Kyu lambe baal hai bhaalu ke?
Kyu usne triming karai nahi.
Kya wo bi ganda bachha hai?
Ya jungle me koi naai nahi.
Nana ki biwi jab nani hai,
Dada ki biwi jab dadi hai.
Papa ki biwi kyon papi nahi?
Samundar ka rang kyu neela hai?
Jab neel kisi ne milai nahi.
Jab school me itni neend aati hai.
Toh kyu bed waha rakhwai nahi?
Ye baat samajh mein aayi nahi
Aur mummy ne samjhai nhai.

Friday, January 25, 2013

Ye Yaad Hai Tumhari Ya,

Ye Yaad Hai Tumhari Ya,
Yado Mein Tum Ho,
Ye Khawab Hai Tumhare Ya
Khawaboon Mein Tum Ho,
Hum Nahi Jantey,
Humian Bs Itna Bata Do,
Hum Jaan Hain Tumhari,
Ya Hamari Jaan Tum Ho...!!

Tuesday, January 22, 2013

Meri Qasam

Bohat Dino Ki Baat Thi,
Shabab Per Bahar Thi, 
Fiza Bhi Khushgawar Thi,
Na Jaane Kioun Machal Para, 
Main Apne Ghar Se Chal Para,
Kisi Ne Mujh Ko Rok Ker, 
Bari Aada Se Tok Ker,
Kaha Ke Laut Ayyee, 
Meri Qasam Na Jayyee,
Meri Qasam Na Jayyee, 
Magar Mujhe Khabar Na Thi,
Mahaul Per Nazar Na Thi, 
Na Janey Kioun Machal Para,
Main Apney Ghar Se Chal Para, 
Phir Shehar Se Main Aa Gaya,
Khayal Tha Ke Paa Gaya, 
Usey Jo Mujh Se Durr Thi,
Magar Meri Zaroor Thi, 
Phir Ik Haseen Shaam Ko,
Main Chal Para Salam Ko,
Gali Ka Rang Dekh Ker,
Naye Tarang Dekh Ker,
Mujhe Bari Khushi Hui,
Main Kuch Isi Khushi Main Tha,
Kisi Ne Jhank Ker Kaha,
Paraye Ghar Se Jayyee,
Meri Qasam Na Ayyee,
Wohi Haseen Shaam Hai,
Bahar Jis Ka Naam Hai,
Chala Hoon Ghar Ko Chor Ker,
Na Janey Jaoon Ga Kidhar,
Koi Nahin Jo Rok Ker,
Koi Nahin Jo Tok Ker,
Kahay Ke Laut Ayyee,
Meri Qasam Na Jayyee,
Meri Qasam Na Jayyee 

Hansi Mein Uraa Gaye

Jo Uter Ker Zeena-E-Sham Se'teri Chashm-E-Khush Mein Sama Gaye
Wohi Jalty Bojhty Se Mehr-O-Ma Meray Baam-0-Dar Ko Saja Gaye

Ye Ajeeb Khel Hai Ishq Ka'mein Ne Aap Dekha Ye Mojza
WO Jo Lafz Mery Guma Mein Thy'wo Teri Zuba Pe Aa Gaye

Ye Charagh-E-Jan Kabhi Jis Ki Loo Na Kisi Hava Se Nagoon Houi
Teri Bewafai K Wasvasy Use Chupky Chupky bujha Gaye

WO Tha Chand Sham-E-Visal Ka'ke Tha Roop Teray Jamal Ka
Meri Rooh Se Meri Aankh Tak Kisi Roshne Mein Naha Gaye

Ye Jo Bandgan-E-Nyaz Hein'ye Tamam Hein Wohi Lashkari
Jinhen Zindagi Ne Panah Na Di'to Tery Hazoor Mein Aa Gay

Teri Berukhi Ke Dyar Mein'mein Hawa Ke Sath Hawa Howa
Teray Aine Ki Talash Mein Meray Khowab Chehra Gawa Gaye

Tery Wasvason K Fishar Mein'tera Sharar-E-Rang Ujer Gaya
Meri Kahishon Ke Ghubar Mein'mery Maah-0-Saal Wafa Gaye

Meri Umer Se Na Simat Saky'mery Dil Mein Itny Sawal Thy
Tery Pass Jitnay Jawab Thay Teri Ik Nigah Mein Aa Gaye

WO Jo Geet Tum Ne Suna Nahi'meri Umer Bher Ka Ryaz Tha
Meray Dard Ki Thi Wo Dastan'jisay Tum Hansi Mein Ura Gaye

Hum Yaad Tumhain To Kertay Hain

Ho raat akeli pichlay peher
Or chaand gagan pe aa jaye

Tum chaand ke maanind tanha ho
Ye baat tumhain terpaa jayee

Kuch khwaab saja ker palkon pe
Tum chaand sey batain ker lena

Hum yaad tumhain to kertay hain
Tum yaad humain bhi ker lena

Kuch baat na ho jab aaise he
Numm aankh tumhari ho jaye

Tum baat kahin per kertay ho
Dil or kahin per khoo jaye

Zabt k aaise aalam main
Muskaan labon pe bher lena

Hum yaad tumhain to kertay hain
Tum yaad humain bhi ker lena

Tujhe Dekhne Ke Baad

Kese sukoon paon tujhe dekhne ke baad.
Ab kia ghazal sunaon tujhe dekhne ke baad. 

Awaaz de rahi hai meri zindagi mujhe.
Main jaon ya na jaon tujhe dekhne ke baad.

Kaabay ka ehtaraam bhi meri nazar main hai.
Sar kis taraf jhukaon tujhe dekhne ke baad.

Teri nigah-e-mast ne makhmor kar dia.
Kia mai-kaday ko jaon tujhe dekhne ke baad.

Nazron main tab-e-deed hi baqi nahi rahi. 
Kis se nazar milaon tujhe dekhne ke baad. 

Suno Hum Tum Se Kuch Kehna Chahte Hain

Suno Hum Tum Se Kuch Kehna Chahte Hain, 
Is Tees Ko Is Dard Ko Hum Sehna Chahte Hain. 

Jis Ko Kabhi Sheesha Kabhi Aaina Kehte Ho Tum 
Seene Ke Us Muqaam Mein Hum Rehna Chahte Hain. 

Moujon Ka Dar Nahi Hai ,Sahil Se Nahi Hai Pyaar, 
Bas Tham Lo Hume Tum Hum Behna Chahte Hain. 

Aankhon Ne Baat Karli, Nazroon Ne Bhedh Khola, 
Ab Hont Kaampte Hain Kuch Kehna Chahte Hain

Kya Yaad Karoge Hum Ko Jab Paas Hum Na Honge, 
Tere Khuwab Mein Khayal Mein Hum Rehna Chahte Hain.

Khayal Mein Tere Aks Se Yeh Sab To Keh Chuke Hain, 
Tere Saamne Gar Ho Ijaazat Kehna Chahte Hain.

Itna Hee Yaad Rakh Mujhey

Itna Hee Yaad Rakh Mujhey,
Jaisey Kisi Kitaab Me,
Beetey Dino K Dost Ka,
Ek Khat Para Huwa Miley,
Lafz Mitey Mitey Se Hon,
Rang Urra Urra Sa Ho,
Lakin Woh Ajnabi Na Ho!
Uth Ker Terey Galey Lagey,
Beetey Dino Ki Sab Khtaayen,
Bhooley Huwey Tamam Sukh,
Guzrey Huwey Tamam Dukh,
Tujh Se Kahey Aur Ro Parey

Kash


Tumne Samja Hi Nahi Lafzo Ki Gehrai Ko,
Sachy Lafzo Se To Patar B Pigal Sakte Hen,
Kash Rakte Tum Meri Muhabbat Ka Barm,
To Mere Aansoo Tumhari Aankon Se Nikle Sakte Thy,
Tum To Tehre Rahe Jeel Ki Pani Ki Tarha,
Dariya Bante To Bauht Door Tak Nikle Sakte Thy,

Hans Ke Bola Karo

Hans ke bola karo bolaya karo 
Aap ka ghar hai aaya jaaya karo 

Moskurahat hai husn ka zevar 
Roop badhata hai moskuraya karo 

Had se bad kar hasein lagate ho 
Jhouthi qasmein zaroor khaaya karo 

Hukm karana bhi ek sakhavat hai 
Ham ko khidamat koi bataya karo 

Baat karana bhi badashaahat hai 
Baat karana na bhool jayaa karo 

Taa ke duniya ki dilkashi na ghatay 
Nit naye pairahan mein aaya karo 

Kitanay saada mizaaj ho tum ''Adam'' 
Us gali mein bohat na jayaa karo