Social Icons

Friday, February 1, 2013

Rang tha roshni thi, qayamat tha


Rang tha roshni thi, qayamat tha,
Jis pe hum mar mittey qayamat tha,
Khush jamalon mein dhoom thi apni,
Naam us ka bhi wajah-e-shohrat tha,
Khawab tameer ban kar atey they,
Kya ajab mausam rafaqat tha,
Aik aik saans qurbton ka gawaah,
Har nafss lamhaa-e-ghaneemat tha,
Aur phir yun hua ke toot geya,
Woh jo ik rishta-e-mohabbat tha..

Yeh aur baat teri gali main na ayen hum


Yeh aur baat teri gali main na ayen hum,
Lekin yeh kya ke tera sheher chorr jayen hum,
Muddat huyi hai kuye bataan ki taraf gaye,
Awaargi se dil ko kahan tak bachaayen hum,
Be’noor ho chuki hai bohat sheher ki fizaa,
Tareek raston par kahin kho na jayen hum,
Us ke baghair aaj bohat jee udaas hai,
Jaalib chalo kahin se usey dhoond ke layen hum..

Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye


Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye,
Tujhe bewafa kahoon mein, woh maqaam aa na jaye,
Jisey sun ke toot jaye mera aarzu bhara dil,
Teri anjuman se mujh ko woh peyaam aa na jaye,
Woh jo manzilon per laa kar kisi hamsafar ko lootain,
Unhi rehzanon mein tera kahin naam aa na jaye,
Isi fikr mein hain ghalat yeh nizaam ke bandey,
Jo tamaam zindagi hai woh nizaam aa na jaye..

Rahe ga ishq tera khaak mein mila ke mujhe

Rahe ga ishq tera khaak mein mila ke mujhe,
Ke ibtidaa mein huye ranj intihaa ke mujhe,
Diye hain hijar mein dukh dard kis balaa ke mujhe,
Shab-e-firaaq ne maara litaa litaa ke mujhe,
Baghair maut ke kis tarah koi marta hai,
Mera raqeeb bhi roya galey laga ke mujhe,
Har ik shakhss ko haasil judaa hai kefiyat,
Jafaa ke lutf tujhe hain, mazey wafaa ke,
Ghazab ki aah meri, Daagh naam hai mera,
Tamaam sheher jalaao ge kya jalaa ke mujhe..

Mohabbat ki duniya main mashoor kar doon

Mohabbat ki duniya main mashoor kar doon,
Mere saada dil tujh ko maghroor kar doon,
Tere dil ko milney ki khud aarzuu ho,
Tujhe is qadar gham se ranjoor kar doon,
Mujhe zindagi door rakhti hai tujh se,
Jo tu paas ho to usey door kar doon,
Mohabbat ke iqraar se sharam kab tak,
Kabhi saamna ho to majboor kar doon,
Yeh be’rangiyan kab tak, ay hussan rangeen,
Idhar aa tujhe ishq mein choor kar doon,
Tu agar samney ho to mein be’khudi mein,
Sitaaron ko sajdey pe majboor kar doon,
Nahin zindagi ko wafaa warna Akhtar,
Mohabbat se duniya ko mamoor kar doon..

Ajab hain raastay mere ke chalna bhi nahi mumkin


Ajab hain raastay mere ke chalna bhi nahi mumkin,
Zara thokar jo lag jaye sanbhalna bhi nahi mumkin,
Tera chehra meri nazron mein dhundla sa na ho jaye,
Ke ab bheegi hui aankhon ko malna bhi nahi mumkin,
Milay hain baad muddat k, balaa k sard hain lehje,
Ke jalna bhi nahi mumkin. pighalna bhi nahi mumkin,
Ta’alluq toot jaane se umeeden toot jaati hain,
Dilon mein hasraten le ker behalna bhi nahi mumkin,
Bohat nakaamian le ker hua hoon khaak ka qaidi,
Chalo ab aaj se ghar se nikalna bhi nahi mumkin,
Usse itna na socha ker. teri aadat na ban jaye,
Phir aisi aadaten Mohsin, badalna bhi nahi mumkin..

Safar khizaan ka, bahaar manzil


Safar khizaan ka, bahaar manzil,
Hai fasilon ki shikaat manzil,
Mujhe ussi ne yeh khauf bakhsha,
Ke jis ne di thi udhaar manzil,
Ilaahi kuch tu hi silaa de,
Nazar ki hadh se guzaar manzil,
Tu jeet jaye ga, jeet mujh ko,
Tere galey ka hai haar manzil,
Tujhe talab thi ke mein bhi ro’un,
Aa dekh zaar-o-qitaar manzil,
Hird ka ultaa moaamla tha,
Gulaab rahain, to khaar manzil,
Jalaa ke nikla jo apne ghar ko,
Dhuaan si rahain, ghubaar manzil,
Ke meri sansain ukharr rahi hain,
Abhi to mujh ko pukaar manzil,
Khabar mili hai woh laut aya,
Ab us ke sar par se waar manzil,
Main aasmanon ko khaujta hoon,
Sunaa tha unke hai paar manzil,
Azal-abad ki talaash mein hai,
Ujaal rahain, sanwaar manzil,
Taaj khud hi kuch susst tha warna,
Talab mein thi be’qaraar manzil..

Maayel e lutf, tabiyat kabhi aesi to na thi,


Maayel e lutf, tabiyat kabhi aesi to na thi,
Aap ko mujh se mohabbat kabhi aesi to na thi,
Aaj be’waqt kidar aap nikal aaye hain,
Aap ko meri zaroorat kabhi aesi to na thi,
Haal per mere tawajoh, meri har baat per jee,
Ab jo hai mujh pe inaayat kabhi aesi to na thi,
Ab to har waqt hi maathey per shikan rehti hai,
Aayina dekhiye, surat kabhi aesi to na thi,
Kuch to hai aap ke andaaz-e-sitam ka baayes,
Aaye din shikwa shikayat kabhi aesi to na thi,
Hijar mein aap ne ik umar guzaari hai Naseer,
Beqarari ki yeh haalat kabhi aesi to na thi..

Dekhoon ayina tu teray akss ka gumaan hota hai,


Dekhoon ayina tu teray akss ka gumaan hota hai,
Meri ankhoon main teray chehray ka samaan hota hai,
Youn teri khoj main sahra ka badal ban ke,
Meray kadmon ka safar pher say rawan hota hai,
Janay anjanay main likh doon jo kbhi tujh pay ghazal,
Mera her shair teray husan ka biyaan hota hai,
Teri palkoon pay jo jugnoo ki chamak main dekhoon,
Behti nadia main sitaroon ka jahaan hota hai,
Her aik shab khawaboon main jo tera rang dekhoon,
Meri her neend main teray dil ka makaan hota hai..

Betha ho es umeed par es rigzar par


Betha ho es umeed par es rigzar par
lay kabhi es taraf tuje khuda kabhi

Raat meri aankh main aik sailaab tha

Raat meri aankh main aik sailaab tha,
Tera chehra dakhina sa bhi tabiyat bhar gai.

Teri arzoo main humne Baharon ko dekha

Teri arzoo main humne Baharon ko dekha,
Teri justaju main humne Sitaron ko dekha,
Nahi mila tum se badhkar in nigahon ko koi,
Humne jiske liye hazaron ko dekha..

Jab taqaaza neend ka ho aur tanhaai na ho

Jab taqaaza neend ka ho aur tanhaai na ho,
Uff woh kefiyat ke ho bhi aur angrrayi na ho..

Na karo takraar, mujhay tumhara hi khayaal hai

Na karo takraar, mujhay tumhara hi khayaal hai,
Phir baat se baat niklay gi, aur tum rooth jaoge..

Ghar se nikal kharrey huye phir puchna hi kya,

Ghar se nikal kharrey huye phir puchna hi kya,
Manzil kahan se paas parre gi kahan se door..

Kuch to de bheek us ko aye zaalim

Kuch to de bheek us ko aye zaalim,
Ban ke jo saayel tere ghar aaya..

Isi dhun main guzaarey ja raha hoon zindagi apni

Isi dhun main guzaarey ja raha hoon zindagi apni,
Kabhi yeh zindagi ke marhley asaan to hon ge..

Hashar mein milne ka vaada to karo

Hashar mein milne ka vaada to karo,
Hum abhi hashar barpaa kartey hain..

Saaf inkaar hai aaney ka bahana kesa

Saaf inkaar hai aaney ka bahana kesa,
Rang laaye hain woh mehndi ka lagana kesa..